Junoon Lyrics of the Zamaney Ke Andaaz(Saqi Nama) track

Zamanay kay andaaz badlay gaey

Naya raag hai saaz badlay gaey (x2)



Khirad ko ghulami say aazad kar

Jawanon ko peeron ka ustad kar



Zamanay kay andaaz badlay gaey

Naya raag hai saaz badlay gaey



Jigar say wohi teer phir par kar

Tamanna ko seenon main bedar kar (x2)



Jawanon ko sozi jigar bakhsh de

Mera ishq meri nazar bakhsh de



Zamanay kay andaaz badlay gaey

Naya raag hai saaz badlay gaey



Khirad ko ghulami say aazad kar

Jawanon ko peeron ka ustad kar



Zamanay kay andaaz badlay gaey

Naya raag hai saaz badlay gaey



Pila de mujhe woh may pardah soz

Keh aati nahin fasl-e-gul roz roz (x2)



Woh may jis say roshan hai zameer-i-hayaat

Woh may jis say hai mastee-e-kainaat

mastee-e-kainaat



Zamanay kay andaaz badlay gaey

Naya raag hai saaz badlay gaey (x2)



Khirad ko ghulami say aazad kar

Jawanon ko peeron ka ustad kar



Zamanay kay andaaz badlay gaey

Naya raag hai saaz badlay gaey (fade till end)

Bookmark Us

Album index

  • Mazaa Zindagi Ka lyrics
  • Mein Ne Kabhi lyrics
  • Neend Aati Nahein lyrics
  • Yaar Bina lyrics
  • Zamaney Ke Andaaz(Saqi Nama) lyrics